Friday, May 16, 2008

kuch haseen khwaab


kuch haseen khwaabon se
dil ke saaye hai,
tujhse milke aaj yeh
phir se chaaye hai...

woh din bhar sawaalo ke
jawaabon se khayaalon tak,
jo tum hume le chale,
andhero se mashaalo tak,
har pal mein jeeya har jazba
is rishte ne dohraaya hai...
kuch haseen khwaabon se...

tujhe na dhoondu main kahi,
pukaaru na gully gully;
sab soche yeh kaisi dilkashi
is hijr mein, ankahee;
yeh pyaar ki jo sau baatein
subeh, dopar, au' raatein
is duniya ko, sabhi ko,
aur kin lafzon mein samjhaaye hai...
kuch haseen khwaabon se...

chalte, raah par kabhi
yeh pal agar mile tumhe
uthaa lo tum inhe sabhi,
jo inki baatein bhi sune
hai faasle bhi darmiyaan,
kuch yaadein bhi muskaaye hai...
kuch haseen khwaabon se...

No comments: